Munajaat (Du'a)
MUNAJAAT (DUA) THAT SHOULD BE RECITED AFTER EVERY SALAAH
Ya Ilahi Har Jagha Teri Ataa Ka Saath Ho
Jub Pare Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Saath Ho
Ja Ilaahi Bhool Jawu Naza ki takleef ko
Shaadiye deedare Husne Mustapha Ka saath ho
Ya Ilaahi Goor-e-tera Ki Jab Aayeh Sakht Raat
Unki Pyaari Mohn Ki subha Jaa fiza Ka saath ho
Ya Ilahi jab pare mahshar me shor-e-daar wa gheer
Aman deneh waaleh pyaare peshwa ka saath ho
Ya Ilaahi jab Zabaaneh bahar Aayeh pyaas seh
Saahib-e-kauthar Shahe Jood-o-ataa Ka saath ho
Ya Ilaahi Sard-e-Mehri par ho jab khurshid-e-Hashar
Sayyad-e-beh Saaya Ke Zill-e-liwaa ka saath ho
Ya Ilahi Garmi-e-Mahshar seh jub bhar keh badan
Daaman-e-Mahboob ki thandi hawaa ka saath ho
Ya Ilaahi Na'ama-e-A'maal jub khulne laghe
Aib-e-pooshi khalq-e-Sat'taare Khata Ka Saath ho
Ya Ilahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurum meh
Un Tabassum rez-e-hontoh ki Dua ka saath ho
Ya Ilaahi jab Hisaab Khandaa-e-bichaar laye
Chashme Ghar-yaane Shafi-e-Murtaja Ka saath ho
Ya Ilahi rangh laayi jab meri Be baaqiyah
Unki neechi neechi nazro ki Hayaa Ka saath ho
Ya Ilaahi Jab chalo Tareekh raahe Pul Siraat
Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath ho
Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer par chalna pare
Rabbe Sallim kahneh waaleh ghamzadah ka saath ho
Ya Ilahi Jo Du'a yeh nekh hum tujh se kare
Qudsiyyo ke labb seh Ameen Rabbana ka Saath ho
Ya Ilahi Jab Raza Kwaab-e-Ghiraa seh Sar Uthaaye
Daulat-e-bedaar Ishk-e-Mustapha Ka Saath ho
Ya Ilahi le chale jab dafan karne Qabar me
Ghaus-e-Azam peshewa'e Awliya Ka Saath hoh.


